Pages

Wednesday 12 February 2014

Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise

Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise

Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaan Baaki Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise

Har Mulaakat Pe Mehsoos Yehi Hota Hai
Mujhse Kuch Teri Nazar Pooch Rahi Ho Jaise

Raah Chalte Huve Aksar Yeh Gumaan Hota Hai
Woh Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise

Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyon Ka Safar
Zindagi Tej Bahut Tej Chali Ho Jaise

Is Tarah Pehron Tujhe Sochta Rahta Hoon Main
Meri Har Saas Tere Naam Likhi Ho Jaise

Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise

Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaan Baaki Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise

Usaki Baatein Toh Phul Ho Jaise

Usaki Baatein Toh Phul Ho Jaise
Baaki Baatein Babul Ho Jaise
Usaki Baatein Toh Phul Ho Jaise

Chhoti Chhoti Si Usaki Woh Aankhein
Do Chameli Ke Phul Ho Jaise

Usaka Haskar Najar Jhuka Lena
Saari Sharte Kubul Ho Jaise

Kitani Dilkash Hai Usaki Khamoshi
Saari Baatein Fijul Ho Jaise
Usaki Baatein Toh Phul Ho Jaise

Wednesday 27 November 2013

Wo Kagaz Ki Kashti

Yeh Daulat Bhi Le Lo,
Yeh Shaurat Bhi Le Lo,
Bhale Cheen Lo Mujhse Se Meri Jawani,
Magar Mujhko Lauta Do
Bachpan Ka Sawan
Wo Kagaz Ki Kashti
Wo Baarish Ka Paani

Muhale Ki Sabse Purani Nishani,
Wo Budhea Jise Bache Kehte The Naani,
Wo Naani Ke Baaton Me Paarion Ka Dera,
Wo Chehre Ki Jhuriaon Me Sadion Ka pehra,
Bhulae Nahin Bhul Sakta Hai Koi,
Bhulae Nahin Bhool Sakta Hai Koi,
Wo Chotti Si Raaten.....
Wo Lambi Kahani

Kaadi Dhoop Me Apne Ghar Se Nikalna,
Wo Chidia Wo Bulbul Wo Titli Pakadna ,
Wo Guddia Ki Shaadi Pe Ladna Ghagadna,
Wo Jhuloon Se Girna Wo Gir Ke Sambhalna,
Wo Peetal Ke Chaalon Ke Pyare Se Tohfe,
Wo Tuuti Hue Chudion Ki Nishani
Wo Kagaz Ki Kashti Wo Baarish Ka Paani

Kabhi Ret Ke Oonche TilooN Pe Jana
Gharoonde Banana Bana’ke Mitana
Wo Masoom Chahat Ki Tasvir Apni
Wo KhwabooN KhilaooN Ki Jageer Apni
Na Duniya Ka Gam Tha Na RishtoN Ke Bandhan
Baree Khoobsurat Thi Wo Zindagani

Friday 22 November 2013

Raat Aankhon Main Dhali Palkon Pe Jugnu Aaye

raat aankhon main dhali palkon pe jugnu aaye
hum hawao ki tarah jaake use chu aaye

bas gayi hain mere ehsaas main yeh kaysi mehak
koi khusbu main lagau teri khusbu aaye

usne chukar mujhe pathhar se phir insaan kiya
muddato baad mere aankh main aansu aaye

maine din raat khuda se yeh dua maangi thi
koi aahat na ho dar par mere jab tu aayi

hum hawao ki tarah jaake use chu aaye
raat aankhon main dhali palkon pe jugnu aaye

Tuesday 19 November 2013

Tamanna fir machal jaaye agar tum milne aajao

Tamanna fir machal jaaye agar tum milne aajao
Ye mausam hi badal jaaye agar tum milne aajao

Nahin milte ho mujhse tum to sab humdard hain mere
Zamana mujhse jal jaaye agar tum milne aajao

Mujhe gham hai ke maine zindagi mein kuch nahin paaya
Ye gham dil se nikal jaaye agar tum milne aajao

Ye duniya bhar ke jhagde ghar ke kisse kaam ki baaten
Bala har ek Tal jaaye agar tum milne aajao

Friday 30 August 2013

Aaj Hum Bichde Hain To Kitne Rangeele Ho Gaye

Aaj Hum Bichde Hain To Kitne Rangeele Ho Gaye
Meri aankhein Surkh Tere Haath Peele Ho Gaye

Kabki Pathar Ho Chuki thi Muntazir Aankhein Magar
Chuke Jab Dekha to mere haath Geele Ho Gaye

Jaane Kya Ehsaas Saze Ehsaas Husn Ke Taaron me Hai
Jinko Chute hi Mere Nagme Raseele Ho Gaye

Ab koi umeed hai Saheed na koi Aarzoo
Aasre Toote To Jeene ke Wasile ho Gaye

Aaj Hum Bichde Hain To Kitne Rangeele Ho Gaye
Meri aankhein Surkh Tere Haath Peele Ho Gaye
Aaj Hum Bichde Hain To Kitne Rangeele Ho Gaye..

Wednesday 28 August 2013

Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai

Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai

kheech lena wo mera parde ka kona daffatan
or dupatte se tera wo muh chupana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai

Dopahar ki dhoop me mere bulane ke liye
wo tera kothe pe nange paaw aana yad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai