Pages

Saturday 8 October 2011

Gham ka khazana tera bhi..

Gham ka khazana tera bhi hai mera bhi,
ye nazarana tera bhi hai mera bhi..

Apne gham ko geet bana kar gaa lena,
ye raag purana tera bhi hai mera bhi..

Tu mujhko or mai tujhko samjhaun kya,
Dil diwana tera bhi hai mera bhi..

Shahar me galiyon galiyon jiska charcha hai,
Wo afsana tera bhi hai mera bhi..

Maikhane ki baat na kar waiz mujhse,
Aana jana tera bhi hai mera bhi..

Hum jaise tanha logo ka...

Jo puchta hai koi surkh kyo hai aaj ankhe,
To ankh mal ke mai kahta hu raat so na saka,
Hazar chahu magar ye na kah sakunga kabhi,
Ke raat rone ki khwahish thi magar ro na saka..

Hum jaise tanha logo ka,
ab rona kya muskana kya,
Jab chahne wala koi nahi,
fir jeena kya mar jana kya..

Sow rang me jisko soncha tha,
sow roop me jisko chaha tha,
Wo jane ghazal to ruth gai,
Ab uska haal sunana kya...

Aawaj kisi ko de lekin,
Eak naam tumhara hontho par,
Har shakal se ubhro tum hi tum
Youn khud ko magar bahlana kya..

Raaton ka safar hai din ke liye,
Or dil me tamanna raaton ki,
Jab paanw me raste kho jaye,
Fir rukna kya ghar jana kya...

Nazar nazar si mila kar sharab pite hai..

Nazar nazar si mila kar sharab pite hai,
Hum unko paas bitha kar sharab pite hai,

Isi liyr to andhera hai maikade me bahot,
yaha gharo ko jala kar sharab pite hai..

Hume tumhare siwa kuch nazar nahi aata,
Tumhe nazar me saza kar sharab pite hai..

Unhi ke hisse me aati pyaas hi akshar,
Jo dusro ko pila kar sharab pite hai..

Ghazab kiya tere wade pe aitbaar kiya...

Ghazab kiya tere wade pe aitbaar kiya,
Tamaam raat qayamat ka intzaar kiya...

Hum aise mehe we nazara na the jo hosh aata,
Magar tumhare tagafful ne hoshiyaar kiya,

fashanaye shabe gam unko eak kahani thi,
Kuch aitbaar kiya kuch na aitbaar kiya,

Na pooch dil ki haqikat magar ye kahte hai,
Wo beqaraar rahe jisne beqaraar kiya..

Friday 7 October 2011

Mera dil bhi sowkh se todo..

Mera dil bhi sowkh se todo,
Eak tazurba or sahi,
Laakh khilowna tod chuke ho,
Eak khilowna or sahi,

Raat hai gam ki, aaj bujha do,
Jalta huwa har eak charag,
Dil me andhera ho hi chuka hai,
Ghar me andhera or sahi,

Khanzar le kar sochte kya ho,
Qatl-e-murad bhi kar dalo,
Daag hai sow daman pe tumhare,
Eak ezafa or sahi.

Dam hai nikalta eak aashiq ka,
Bhid hai aakar dekh to lo,
Laakh tamashe dekhe hoge,
Eak nazara or sahi......

Ajnabi shahar ke ajnabi raste..

Ajnabi shahar ke ajnabi raste,
Meri tanhai par muskurate rahe,
Mai bahot door tak yun hi chala raha,
Tum bahot der tak yaad aate rahe...

Kal kuch aisa hua mai bhot thak gay,
Isliye sun ke bhi ansuni kar gaya,
Kitni yaado ke bhatke huwe karwan,
Dil ke jakhmo ke dar khat kahtate rahe..

Jahar milta ra jahar pite rhe,
Roj marte rahe roj jeet rahe,
Jindagi bhi hume aajmati rahi,
Or hum bhi use aajmate rahe..

Sakht halat ke tej tufan me,
Ghir gaya tha humara junoon-e-wafa,
Hum charage tamanna jalate rahe,
Wo charage tamanna bujhate rahe..

Mere Dil Ki Duniya Mein Aa Kar To Dekho...

Mere Dil Ki Duniya Mein Aa Kar To Dekho
Tumhein Zindagi Ki Haqeeqat Milegi
Zara Apni Aankhen Utha Kar To Dekho
In Aankhon Mein Tumko Mohabbat Milegi

Tumhein Naaz Husn-O-Adaa Par Hai Lekin
Hamein Naaz Apni Wafa Par Bohat Hai
Milenge Hazaaron Zamaane Mein Tumko
Na Yeh Chahton Ki Inayaat Milegi

Badde Shauk Se Tum Inne Az.Zmaa
Nikalenge Matlib Yeh Phir Chhod Denge
Badalte Hain Chehre Har Ek Aanh Par Yeh
Yahaan Aise Logon Ki Qadraat ¿? Milegi

Ghawaara Nahi Hai Agar Meri Soorat
Duaa Hai Tumhein Main Nazar Hi Na Aoon
Chala Jaunga Main Teri Yaad Lekar
Kahaan Pyar Ki Tumko Daulat Milegi

Tumhein Apne Dil Mein Bassaya Hai Maine
Hataa Hai Yeh Meri Yahi Jurm Mera
Jo Chaho Mohabbat Ki Ab Tum Sazaa Do
Bohat Mujko Is Mein Bhi Rahat Milegi

Ghum-E-Zindaagi Ka Zeher Pi Ke Shayid
Wo Jiske Liye Aaj Hum Mar Rahe Hain
Baada Khauff Tha Meri Qurbat Se Jinko
Meri Maaut Pe Unko Shohrat Milegi....

Aakhri khat hai mera.....

Aakhri khat hai mera, jis pe hai naam tera…
Aaj ke baad koi,khat na likhunga tujhko!!

Bhul jaaunga tujhe, ye toh nahi kah sakta…..
Dil pe chalta hai kaha,zor muhobbat kar ke!!
Phir bhi is baat ki laeta hun kasam, ai humdum….
Main na tadpaaunga tujhko, kabhi nafrat kar ke!!

Bewafa tu hai kabhi, main na kahunga tujhko…
Aaj ke baad koi,khat na likhunga tujhko!!

Yaad beete huwe lamhon ki sataayegi agar…
Aap apne se kahi duur nikal jaaunga!!
Ittefaakan hi agar tujhse mulaakaat hui…
Ajnabi ban ke tere raah se tal jaaunga!!

Dil toh chahe ga par, aawaaz na dunga tujhko..
Aaj ke baad koi,khat na likhunga tujhko!!

Ye tera shahar ye galiyan, daro deewaar ye ghar….
Mere tute huwe khabon ki, yehi jannat hai!!
Kal ye sab chor ke jaana hai, bahut duur mujhe…
Jis jagah dhup hai, sehra hai meri kismat hai!!

Yaad mat karna mujhe, ab na milunga tujhko…
Aaj ke baad koi,khat na likhunga tujhko!!

Aakhri khat hai mera, jis pe hai naam tera…
Aaj ke baad koi,khat na likhunga tujhko!!

Raaton Mein Agar Na Ashq Bahaun To Kya Karun..

Raaton Mein Agar Na Ashq Bahaun To Kya Karun,
Yaron Mai Usko Bhool Na Paaun To Kya Karun,

Maine Suna Hai Unko Andhere Nahi Pasand,
Raahon Mein Ab Main Dil Na Jalaun To Kya Karun,

TuM Hi Kaho Chhod De Jab Zindagi Bhi Saath,
Phir Maut Ko Gale Na Lagaun To Kya Karun,

Socha Tha Ke Chhod Dun Unki Gali,
Lekin Kahin Qaraar Na Paaun To Kya Karun...