Pages

Saturday 22 October 2011

Dard rukhta nahi eak pal bhi..

Udasiyan jo na late to or kya karte,
Na jashn-e-shola manate to or kya karte,
Andhera mangne aaya tha roshni ki bhikh,
Hum apna ghar na jalate to or kya kare.

Dard rukhta nahi eak pal bhi,
Ishq ki ye saza mil rahi hai
Mowt se pahle hi mar gaye ham,
Chot najron ki aisi lagi hai..

Bewafa itna ahsaan kar de,
Kam se kam ishq ki laaz rakh le,
Do kadam chal ke kandha to de de,
Tere aashiq ki mayyat uthi hai..

Raat katati hai gin gin ke tare,
Neend aati nahi eak pal bhi,
Aankh lagti nahi ab humari,
Aankh us but se aisi lagi hai.

Do kadam rah gaya tha kinara,
Yak bayak aake mowjo ne ghera,
Dekho ay ahle shahil tamasha,
Meri kashti kaha dubti hai..

Is kadar mere dil ko nichida
Eak qatra lahu ko na chhoda
Jagmagati hai jo unki silwat,
Wo mere khoon ki roshni hai..

Ladkhdata huwaj jabhi nadan,
Unki rangi mahfil me pohcha,
Dekh kar mujhko logo se bola,
Ye wahi bewafa aadmi hai..

Friday 21 October 2011

Jis din se juda woh hamase huye..

Woh mera rounake mehfil kahan hai,
Meri bijali meraa hasil kahan hai,
Mukam usaka hai dil ki khalbaton me,
Khuda jane mukame dil kahan hai..

Jis din se juda woh hamase huye,
Iss dil ne dhadakna chhod diya,
Hai chand ka mooh utara utara,
Taron ne chamakna chhod diya..

Woh pas hamare rehte the,
Berut bhi bahar aa jati thi,
Abb lakh bahare aaye toh kya,
Phulo ne mehakana chhod diya..

Hamrah koyi sathi bhi nahi,
Ab yad koi baki bhi nahi,
Ab phul khile jakhamo ke kya,
Aankho ne barasana chhod diya..


Humane yeh duva jab thi mangi,
Takdir badal de yeh malik,
Aawaj aai ki abb hamane,
Takdir badalana chhod diya..

Hum to mashhoor hwe hai aapki chahat mein..

Hum to mashhoor hwe hai aapki chahat mein,
Kitne majboor hwe hai aapki chahta mein,
Hum to mashhoor hwe hai aapki chahat mein..

Aap hi aap hain jaati hai jaha tak yeh nazar,
Dil hamara hai magar aap ka haq hai iss par,
Duniya se duur hwe hain aap ki chahat mein,
Kitne majboor hwe hai aapki chahat mein,
Hum to mashhoor hwe hai aapki chahat mein..

Aap se pyaar kiya aapka armaan kiya,
Ek nazar mein hi ye dil aap pe qurbaan kiya,
Hum se yeh kusoor hwe hain aapki chahat mein,
Kitne majbor hwe hai aapki chahat mein,
Hum to mashhoor hwe hai aapki chahat mein..

Hothhon se chhu lo tum..

Hothhon se chhu lo tum,
meraa geet amar kar do,
ban jaao meet mere,
meri preet amar kar do..

Na umr kee seemaa ho,
naa janmon kaa ho bandhan,
jab pyaar kare koi,
to dekhe kewal maan,
nayee reet chalaakar tum,
ye reet amar kar do..

Aakaash kaa sunapan,
mere tanaha man me,
paayal zanakaatee tum,
aa jaao jeewan me,
saanse dekar apani,
sangeet amar kar do,
sangeet amar kar do,
mera geet amar kar do..

Jag ne chhinaa muz se,
muze jo bhee lagaa pyaaraa,
sab jeetaa kiye muz se,
main har pal hee haaraa,
tum haar ke dil apanaa,
meree jeet amar kar do..

Thursday 20 October 2011

Chahat des se aane wale..

Chahat des se aane wale,
ye to bata ke sanam kaise hain,
Dil walon ki kya haalat hai,
pyar ke mousam kaise hain..

kya ab bhi koi baton baton me,
rota hai has deta hai,
us raah ki khushiyan kaisee hain,
un galiyon ke gam kaise hain..

jugnu shabnam taare bankar,
mere aansun dhoodh rahe hain,
aane wale tu hi bata de,
mere humdam kaise hain..

Chahat des se aane wale,
ye to bata ke sanam kaise hain....