Pages

Thursday 22 August 2013

Ek Purana Mausam Lauta

Ek puraana mausam lauta, Yaad bhari purvayi bhi
Aisa to kam hi hota hai, woh bhi ho tanhayi bhi
Ek puraana mausam lauta, Yaad bhari purvayi bhi

Yaadon ki bochharon se jab palkein bheegne lagti hai
Kithni sounbhi lagti hai tab, Maazi ki rushvayi bhi
Ek puraana mausam lauta, Yaad bhari purvayi bhi

Do do shaklein dikhti hai is behke se aaeene mein
Mere saath chala aaya hai, Aapka ek soudayi bhi
Aisa tho kam hi hotha hay wo bhi ho thanhayi bhi

Khamoshi ka hasil bhi ik lambi si khamoshi hay
Unki bath suni bhi hum ne apni bath sunayi bhi

Aisa tho kam hi hotha hay wo bhi ho thanhayi bhi

Wednesday 21 August 2013

din kuchh aise gujaarata hai koyi

din kuchh aise gujaarata hai koyi
jaise ehsaan utaarata hai koyi

aaina dekhkar tassali huyi
hamko is ghar mein jaanata hai koyi

pak gaya hai shehar pe phal shaayad
phir se patthar uchhaalata hai koyi
jaise ehsaan utaarata hai koyi
din kuchh aise gujaarata hai koyi

tumhaare gum ki dalin uthaakar
jabaan pe rah li hai maine dekho maine
ye katra katra pighal rahin hai
main katra katrahi ji raha hoon

derse gunjate hai sannate
jaise humko pukaarata hai koyi
din kuchh aise gujaarata hai koyi
jaise ehsaan utaarata hai koyi