Pages

Monday 28 November 2011

Yaad nahi kya kya dekha tha...

Yaad nahi kya kya dekha tha,
Saare manzar bhool gaey..
Us ki galiyon se jab guzre,
Apna hi ghar bhool gaey..

Khoob gaey pardes ke apne
Deewaar-o-dar bhool gaey..
Sheesh mehel ne aisa dekha,
Mitti ke ghar bhool gaey..

Mujh ko jinhon ne qatl kiya hai,
Koi unhain batlaey Nazeer..
Meri laash ke pehlu mein woh
Apna khanjar bhool gaey..

Us ki galiyon se jab guzre,
apna hi ghar bhool gaey...

Tuesday 15 November 2011

Hum ko kis ke gham ne mara..

Dil ki chotton ne kabhi,
Chain se rehne na diya..
Jab chali sard hawa,
mein ne tujhe yaad kiya..

Is ka rona nahi,
Kyoon tum ne kiya dil barbaad..
Is ka gham hai keh bohat dair mein barbaad kiya..

Hum ko kis ke gham ne mara,
Yeh kahani phir sahi..
Kis ne toda dil humara,
Yeh kahani phir sahi..

Dil ke lutne ka sabab,
poocho na sab ke saamne..
Naam aye ga tumhara,
Yeh kahani phir sahi..

Nafraton ke teer kha kar,
Doston ke shehar mein..
Hum ne kis kis ko pukara,
Yeh kahani phir sahi..

Kya bataein, pyaar ki baazi,
wafa ki raah mein..
Kon jeeta kon hara
Yeh kahani phir sahi..

Thursday 3 November 2011

TUm meri wafaon ka itna to sila dena..

TUm meri wafaon ka itna to sila dena,
Jalte huwe sholo ko kuch or hawa dena..

Mai kon hu or ky hu, aaya hu kha se mai,
Mile pata mera to mujhko bata dena..

Suraj hai abhi sar par, jalne do mujhe tanha,
Ho jaye jo din behtar, aawaj laga dena..

Khud apni sada mujhko acchi nahi lagti hai,
Nushrat ki mohabbat ko khamosh adaa dena..

Dil mein ek laher si utthi hai abhi..

Dil mein ek laher si utthi hai abhi,
Koi taaza hawa chali hai abhi.
Dil mein ek laher si utthi hai abhi..

shor barpa hai khana-e-dil mein,
koi deewar si giri hai abhi.
koi taza hawa chali hai abhi,
Dil mein ek laher si utthi hai abhi..

kuchh to nazuk mizaaj hain hum bhi,
aur ye chote bhi nayi hai abhi.
koi taza hawa chali hai abhi,
Dil mein ek laher si utthi hai abhi..

yaad ke be-nishaan jazeeron se,
teri awaaz aa rahi hai abhi.
koi taza hawa chali hai abhi,
Dil mein ek laher si utthi hai abhi..

shehar ki be-charaagh galiyon mein,
zindagi tujh ko dhoondti hai abhi.
koi taza hawa chali hai abhi,
Dil mein ek laher si utthi hai abhi..

Tuesday 1 November 2011

Din me kab socha karte the..

Din me kab socha karte the,
Soyen ge hum raat kahan
Ab aise aawara ghoome,
apne we halaat kahan..

Kab the taiz-rawi per nadaan,
Ab manzil per tanha hein,
Soch rahe hain in hathon se,
Choota tha wo haath kahan..

Kya tum ne unko dekha hai,
Kya unse baatein ki hai,
Tum ko kya samjhayen yaaro,
Khayi hum ne maat kahan..

Barso baad mile hum unse,
Dono the sharminda se,
Dono ne chahaa bhi laikin,
Phir aati wo baat kahan..

Friday 28 October 2011

Tu kahin bhi rahey, sar pe tere ilzaam to hai..

Tu kahin bhi rahey, sar pe tere ilzaam to hai,
Tere hathon ki lakiron mein mera naam to hai..

Mujko tu apna bana ya na bana teri khushi,
Tu zamane mein mere naam se badnaam to hai..

Mere hisse mein koi jaam na aaya na sahi,
Teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai..

Dekh kar log mujhe naam tera lete hain,
Ispe main khush hoon, mohabbat ka ye anjaam to hai..

Woh sitamghar hi sahi dekh ke usko `Saabir,
Shukar hai is dil-e-bimaar ko aaraam to hai..

Thursday 27 October 2011

Chak jigar ke si lete hain..

Chak jigar ke si lete hain,
Jaise bhi ho jee lete hain..

Dard mile to sah lete hain,
Ashq mile to pi lete hain..

Aap kahen to mar jayenge,
Aap kahen to jee lete hain..

Bezari ke andhiyare mein,
Jine wale jee lete hain..

Hum to hain un foolon jaise,
jo kaanto me jee lete hain..

pyar mujhse jo kiya tumne to kya paogi..

pyar mujhse jo kiya tumne to kya paogi,
mere halat ki aandhi mein bikhar jaogi..

ranj aur dard ki basthi ka main bashinda hoon,
ye to bas main hoon ke is haal mein bhi zinda hoon,
khwaab kyoon dekhoon wo kal jispe main sahrminda hoon,
mainjo sharminda hoon to aur tum bhi sharmaogi..

kyon mere sath koi aur pareshan rahe,
meri duniya hai jo wiran to wiran rahe,
zindagi ka ye safar tum pe to asan rahe,
humsafar mujhko banaogi to pachtaogi..

ek main kya abhi ayenge diwane kitne,
abhi gonjenge mohabbat ke tarane kitne,
zindagi tumko sunaegi fasane kitne,
kyon samajhti ho mujhe bhol nahi paogi..

Phir dard utha dil me or aankh bhi nam hai..

Phir dard utha dil me or aankh bhi nam hai,
Ye teri inayat hai ya duniyan ka karam hai..

Tute na ye saanso ka tasahsul mere hum dam,
Ye kafilaye umar bahot tez kadam hai..

Kahne ko to har baat kahi tere mukabir,
Lekin wo fasana jo mere dil ki rakam hai..

Apne khaabo ko teri aankh me jalta dekhoo..

Apne khaabo ko teri aankh me jalta dekhoo,
Meri hasrat hai tujhe neend me chalta dekhoo..

Mera mitna to bas eak raat ka kissa hai magar,
Mai tujhe roz shama ban ke pighalta dekhoo..

Ho na aisa kr meri aah asar kar jaye,
Ghar tera pahlehi barsaat me jalta dekhoo..

Apne Hontho Par Sajana Chahta Hu..

Apne Hontho Par Sajana Chahta Hu,
Aa Tujhe Main Gungunana Chahta Hu..

Koi Aansu Tere Daaman Par Gira Kar,
Bund Ko Moti Banana Chahta Hu..

Thak Gaya Mai Karte Karte Yaad Tujh Ko,
Ab Tujhe Mai Yaad Aana Chahta Hu..

Chaa Raha Hai Saari Basti Mai Andhera,
Roshni Ko Ghar Jalana Chahta Hu..

Aakhri Hichki Tere Zaano Pe Aaye,
Maut Bhi Mai Shayraana Chahta Hu..

Wednesday 26 October 2011

Ab yaha koi nahi apna paraya bhi nahi...

Ab yahan koi nahi, apna paraya bhi nahi,
Humne ye soch ke mahfil ko sazaya bhi nahi..

Gham ne eak bhid se bhi dhoondh nikala humko,
Humne to apna hi pata khud bataya bhi nahi..

Hal-e-dil jaan gaye kaise jamaane wale,
Usne poocha bhi nahi, humne sunaya bhi nahi..

Humne patjhad ko bhi samjha hai baharen lekin,
Tumko is dard ka ahsaas dilaya bhi nahi..

Ab yaha koi nahi apna paraya bhi nahi...

Tuesday 25 October 2011

Mere jaise ban jaoge..

Mere jaise ban jaoge,
Tab ishq tumhe ho jayega,
Deewaron se takarooge,
Jab ishq tumhe ho jayega..

Haar baat gawra kar loge,
Mannat bhi utara kar loge,
Taabeeze bhi bandhwaoge,
Jab ishq tumhe ho jayega..

Tanhaiye ke jhulle jhoolonge,
Haar baat purani bhoolonge,
Aaine se tum ghabaraoge,
Jab ishq tumhe ho jayega..

Jab suraj bhi kho jayega,
Aur chand kahin soo jayega,
Tum bhi ghar dher se aooge,
Jab ishq tumhe ho jayega..

Bechaini jab bad jayege,
Aur yaad kiski ayegi,
Tum meri ghazale gaaoge,
Tab ishq tumhe ho jayega..

Maine muh ko kafan me chopa jab liya..

Maine muh ko kafan me chopa jab liya,
Tab unhe mujhse milne ki fursat mili,
Hal-e-dil poochne jab wo ghar se chale,
Raste me unhe meri maiyyat mili..

Wo zafa kar ke bhi kabil-e-qadra hai,
Mujhko meri wafa ka sila ye mila,
Jite ji mai to rushwa raha umra bhar,
Baad marne ke bhi mujhko tohmat mili..

Meri maiyyat ko diwane ki laash hai,
Aisa kah kar shahar me ghumaya gaya,
Is tarah unko shohrat khuda ki kasam,
Meri rushwaiyo ki badawlat milli..

Eak hi shaakh par saaze do gul khile,
Chal kismat ki lekin jara dekhiye,
Eak gul qabar par meri sharminda hai,
Eak ko unki zulfo me izzat mili..

Saturday 22 October 2011

Dard rukhta nahi eak pal bhi..

Udasiyan jo na late to or kya karte,
Na jashn-e-shola manate to or kya karte,
Andhera mangne aaya tha roshni ki bhikh,
Hum apna ghar na jalate to or kya kare.

Dard rukhta nahi eak pal bhi,
Ishq ki ye saza mil rahi hai
Mowt se pahle hi mar gaye ham,
Chot najron ki aisi lagi hai..

Bewafa itna ahsaan kar de,
Kam se kam ishq ki laaz rakh le,
Do kadam chal ke kandha to de de,
Tere aashiq ki mayyat uthi hai..

Raat katati hai gin gin ke tare,
Neend aati nahi eak pal bhi,
Aankh lagti nahi ab humari,
Aankh us but se aisi lagi hai.

Do kadam rah gaya tha kinara,
Yak bayak aake mowjo ne ghera,
Dekho ay ahle shahil tamasha,
Meri kashti kaha dubti hai..

Is kadar mere dil ko nichida
Eak qatra lahu ko na chhoda
Jagmagati hai jo unki silwat,
Wo mere khoon ki roshni hai..

Ladkhdata huwaj jabhi nadan,
Unki rangi mahfil me pohcha,
Dekh kar mujhko logo se bola,
Ye wahi bewafa aadmi hai..

Friday 21 October 2011

Jis din se juda woh hamase huye..

Woh mera rounake mehfil kahan hai,
Meri bijali meraa hasil kahan hai,
Mukam usaka hai dil ki khalbaton me,
Khuda jane mukame dil kahan hai..

Jis din se juda woh hamase huye,
Iss dil ne dhadakna chhod diya,
Hai chand ka mooh utara utara,
Taron ne chamakna chhod diya..

Woh pas hamare rehte the,
Berut bhi bahar aa jati thi,
Abb lakh bahare aaye toh kya,
Phulo ne mehakana chhod diya..

Hamrah koyi sathi bhi nahi,
Ab yad koi baki bhi nahi,
Ab phul khile jakhamo ke kya,
Aankho ne barasana chhod diya..


Humane yeh duva jab thi mangi,
Takdir badal de yeh malik,
Aawaj aai ki abb hamane,
Takdir badalana chhod diya..

Hum to mashhoor hwe hai aapki chahat mein..

Hum to mashhoor hwe hai aapki chahat mein,
Kitne majboor hwe hai aapki chahta mein,
Hum to mashhoor hwe hai aapki chahat mein..

Aap hi aap hain jaati hai jaha tak yeh nazar,
Dil hamara hai magar aap ka haq hai iss par,
Duniya se duur hwe hain aap ki chahat mein,
Kitne majboor hwe hai aapki chahat mein,
Hum to mashhoor hwe hai aapki chahat mein..

Aap se pyaar kiya aapka armaan kiya,
Ek nazar mein hi ye dil aap pe qurbaan kiya,
Hum se yeh kusoor hwe hain aapki chahat mein,
Kitne majbor hwe hai aapki chahat mein,
Hum to mashhoor hwe hai aapki chahat mein..

Hothhon se chhu lo tum..

Hothhon se chhu lo tum,
meraa geet amar kar do,
ban jaao meet mere,
meri preet amar kar do..

Na umr kee seemaa ho,
naa janmon kaa ho bandhan,
jab pyaar kare koi,
to dekhe kewal maan,
nayee reet chalaakar tum,
ye reet amar kar do..

Aakaash kaa sunapan,
mere tanaha man me,
paayal zanakaatee tum,
aa jaao jeewan me,
saanse dekar apani,
sangeet amar kar do,
sangeet amar kar do,
mera geet amar kar do..

Jag ne chhinaa muz se,
muze jo bhee lagaa pyaaraa,
sab jeetaa kiye muz se,
main har pal hee haaraa,
tum haar ke dil apanaa,
meree jeet amar kar do..

Thursday 20 October 2011

Chahat des se aane wale..

Chahat des se aane wale,
ye to bata ke sanam kaise hain,
Dil walon ki kya haalat hai,
pyar ke mousam kaise hain..

kya ab bhi koi baton baton me,
rota hai has deta hai,
us raah ki khushiyan kaisee hain,
un galiyon ke gam kaise hain..

jugnu shabnam taare bankar,
mere aansun dhoodh rahe hain,
aane wale tu hi bata de,
mere humdam kaise hain..

Chahat des se aane wale,
ye to bata ke sanam kaise hain....

Saturday 15 October 2011

Kaise Kaise Haadse Sahte Rahen..

Kaise Kaise Haadse Sahte Rahen,
Fir Bhi Hum Jite Rahen Haste Rahen..

Uski Aa Jaane Ni Ummiden Liye,
Raasta Mud-Mud Ke Hum Takte Rahen..

Waqt To Gujra Magar Kuch Is Tarah,
Hum Chirago Ki Tarah Jalte Rahen..

Kitne Chehre The Hamare Aaspas,
Tum Hi Tum Dil Me Magar Basten Rahen..

Kaise Kaise Haadse Sahte Rahen..

Ankho me jal raha hai kyu, Bhujta nahi dhua..

Ankho me jal raha hai kyu Bujhta nahi dhua,
Uthtaa to hai ghata sa barasta nahi dhua..

Chulhe nahi jalaye ya basti he jal gayi,
Kuch roz ho gaye hai ab Uthtaa nahi dhua..

Ankho ke pochne se laga anch ka pata,
Yuu cehra pher lene se chupta nahi dhua..

Ankho se ansu ke marasim purane hai,
Mehman yeh ghar ma aaye to Chubhta nahi dhua..

Ankho me jal raha hai kyu, Bhujta nahi dhua..

Wednesday 12 October 2011

Ye bhi hai koi zindagi..

Ye bhi hai koi zindagi,
Pi ke sharab ro liye,
Dard wahi dawa wahi,
Pi ke sharab ro liye..

Dil ke gamo ka janamdin,
Akhshar manaya isi tarah,
Hotho pe aayi jab hasi,
Pi ke sharab ro liye..

Duniya ki har ziyadati,
Ki hai kubul har ghadi,
Hogi humi me kuch kami,
Pi ke sharab ro liye..

Mahfil me youn to bin piye,
Roye hai hum hazaar baar,
Charche hai ab gali gali,
Pi ke sharab ro liye..

Apno ki badsulukiya,
Has has ke pi gaye hai hum,
Ye hai humari saadgi,
Ye bhi hai koi zindagi..

Parakhna mat parakhne main koi apna nahi rehta..

Parakhna mat parakhne main koi apna nahi rehta,
Kisi bhi aaine mein der tak chehra nahi rehta..

Bade logoon se milne mein hamesha faasala rakhna,
Jahan dariya sumandar se mila, darya nahi rehta..

Tumhara shehar tu bilkul naye andaaz wala hai,
Hamare shehar mein bhi ab koi ham sa nahi rehta..

Mujhabbat ek khushboo hai hamesha saath chalti hai,
Koi insaan tanhai mein bhi tanha nahi rehta..

Kabhi kisi ko mukammal jahan nahi milta..

Kabhi kisi ko mukammal jahan nahi milta,
Kahi jami to kahi aasman nahi milta..

Jise bhi dekhiye wo apne aap me gum hai,
Zuba mili hai magar hum-zuban nahi milta..

Bujha saka hai bhala kon waqt ke shole,
Ye aisi aag hai jisme dhuwa nahi milta..

Tere jahaan me aisa nahi ke pyaar na ho,
Jaha ummid ho iski waha nahi milta..

Humne Kaati hai teri yaad me raaten aksar..

Humne Kaati hai teri yaad me raaten aksar,
Dil se gujri hai sitaro ki baraten aksar..

Or to kon hai jo mujhko tasalli deta,
Haath rakh deti hai dil par teri baten aksar..

Hum se eak baar bhi na jeeta hai na jeetega koi,
Wo to hum jaan ke kha lete hai maten aksar..

Unso poocho chehre bhi padhe hai tumne,
Jo kitabon ki kiya karte hai baaten aksar..

Aapke dil ne hume aawaj di hum aagaye..

Aapke dil ne hume aawaj di hum aagaye,
Humko le aayi mohabbat aapki hum aagye..

Apne aane ka sabab hum kya bataye aapko,
Baithe baithe yaad aayi aapki hum aagye..

Hum hai dil wale bhala humpar kisi ka jor kya,
Jayege apni khushi, apni khushi hum aagye..

Kahiye kaya hai charago ki jarurat aapko,
Leke aakhon me wafa ki roshni hum aagye..

Tera chehra hai aaine jaisa...

Tera chehra hai aaine jaisa,
Kyo na dekhu mai dekhne jaisa..

Tum kaho to mai pooch lu tumse,
Hai sawaal eak puch ne jaisa..

Dost mil jayege kai lekin,
Na milega koi mere jaisa..

Tum achanak mile the jab pahle,
Pal nahi hai wo bhoolne jaisa..

Tuesday 11 October 2011

Tere aane ki jab khabar mahke..

Tere aane ki jab khabar mahke,
Tri khushboo se sara ghar mahke..

Shaam mahke tere tasavvur se,
Shaam ke baad fir shaher mahke..

Raat bhar sochta raha tujhko,
Zehn-o-dil mere raat bhar mahke..

Yaad aaye to dil murrawar ho,
Deed ho jaye to nazar mahke..

Wo ghadi do ghadi jaha baithe,
Wo zami mahke wo sazar mahke..

By: Jagjit Singh

Shaam se aankh me nami si hai..

Shaam se aankh me nami si hai,
aaj fir aapki kami si hai..

Dafn kar do hume ke sansh bhi le,
Nabz kuch der se thami si hai..

Waqt rahta nahi kahi tik kar,
Iski aadat bhi aadmi si hai..

koi rishta nahi raha fir bhi,
Eak tasleem lazmi si hai..

Kahin kahin se har chehra..

Kahin kahin se har chehra,
Tum jaisa lagta hai,
Tumko bhool na paayenge hum,
Aisa lagta hai..

Aisa bhi ek rang hai,
Jo karta hai baatein bhi,
Jo bhi isko pehn le,
Voh apna sa lagta hai..

Aur to sab kuch theek hai lekin,
Kabhi kabhi yunhi,
chalta phirta shaher,
Achaanak tanha lagta hai..

Ab bhi yun milte hain,
humse phool chameli se,
Jaise inse apna koi,
Rishta lagta hai..

Apni mareji se kaha apne safar ke hum hai..

Apni mareji se kaha apne safar ke hum hai,
Rukh hawao ka jidhar ka hai udhar ke hum hai..

Pahle har cheej thi apni magar ab lagta hai,
Apnehi ghar me kisi dusre ghar ke hum hai..

Waqt ke ssath hai mitti ka safar sadiyo se,
Kisko maloom kaha ke hai kidhar ke hum hai..

Chalte rahte hai ke chalna hai musafir ka naseeb,
Sochte rahte hai kis raah gujar ke hum hai..

Badi hasin raat thi..

Charaag aaftab gum,
Badi hasin raat thi,
Shabaab ki naqab gum,
Badi hasin raat thi..

Mujhe pila rahe the woh,
Ke khud hi shamma bujh gayi,
Gilaas gum, sharaab gum,
Badi hasin raat thi..

Likha tha jis kitaab mein,
Ke ishq to haraam hai,
Huyee wohi kitaab gum,
Badi hasin raat thi..

Labon se lab jo mil gaye,
Labon se lab hi sil gaye,
Sawaal gum, jawaab gum,
Badi hasin raat thi..

Tumne badle humse gin gin ke liye..

Tumne badle humse gin gin ke liye,
Humne kya chaha tha is din ke liye..

Wasl ka din or kitna mukhtsar,
Din gine jate the is din ke liye..

Wo nahi sunte humari kya kare,
Maangte hai hum duwa jinke liye..

Chahne walo se agar matlab nahi,
Aap phir paida huwe kinke liye..

Baagwan kaliyan halke rang ki,
Bhejni hai eak kamsin ke liye..

By: Jagjit Singh

Zakhmo ko hawa doge, Meri yaad aayegi..

Zakhmo ko hawa doge, Meri yaad aayegi,
Kisi ko bhi daga doge meri yaad aayegi,

Khicho ge ret par meri tasweer baar baar,
Fir usko mitaoge, meri yaad aayegi,

Dariya ke bahte pani me parchai dekh kar,
Zulfo ko sawaroge, meri yaad aayegi,

Bwchain ho ke yadon se meri kabhi kabhi,
Chahoge na bhuloge, meri yaad aayegi.

By: Anuradha Paudwal & Chandan Daas

Rote Hai Teri Yaad Me..

Rote hai teri yaad me,
Iske siwa hum kya kare,
Kismat me hona tha juda,
Tujhse gila hum kya kare..

Karke duwa manga tujhe,
Pakar magar khoya tujhe,
Mange khuda se or kya,
Koi duwa hum kya kare..

Jab tak teri tasweer thi,
Pyara tha dil ka aayina,
Jab tu nahi to dilruba,
Ye aaina hum ky kare..

Patthar nahi insan hai hum,
Kaise sahege ye sitam,
Dil todne wale ye dil,
Tuta huwa hum kya kare..

by: Chandan Daas

Monday 10 October 2011

Kisi Ki Gali Me Dabe Paanw Jana..

Kisi ki gali me dabe paanw jana,
Sikhaya kisi ne ya khud tumne sikha,
Andhere me julfo ko chunri bana,
Sikhaya kisi ne ya khud tumne sikha..

Main bhula nahi hu, jawani ki aahat,
Teri showkh aankho ki har muskurahat,
Mera haath thame labo ko dabana,
Sikhaya kisi ne ya khud tumne sikha..

Main bhula nahi hu, mohabbat ki kasme,
Na dil tere bas me, na dil mere bas me,
Mera aage badhna tera hichkichana,
Sikhaya kisi ne ya khud tumne sikha..

Fir eak din tujhi ko badalte bhi dekha,
Mohabbat ke suraj ko dhalte bhi dekha,
Kisi eak bahane mujhe chod jana,
Sikhaya kisi ne ya khud tumne sikha..

Mai har jakhm-e-dil ko to sita rahuga,
Kai baar mar mar ke jeeta rhuga,
Meri aarju ko khilowna banana,
Sikhaya kisi ne ya khud tumne sikha..

Mujhko ek aur saza dena, mere khet ki tarah..

Mujhko ek aur saza dena, mere khet ki tarah
Meri yaaden bhi jala dena, mere khat ki tarah

Sochta tha ke mere khat ka jawaab aayega,
Meri murjhayi umango pe shawab aayega,
Fir sajegi wahi pahle ki tarah ki mahfil,
Fir tere haath se eak jaam-e-sharaab aayega,
Mere sab khwaab mita dena.
Meri yaden bhi jala dena,
Mere khat ki tarah..

Tumne kitne bhi chubhoye hai labo ke lashkar,
Dard sahta hi raha haath na rakha dil par,
Ab bhi hai waqt se takrane ki himmat mujhme,
Kaat sakta hu mai shishe se hazaro pattar
Dur rah kar hi duwa dena,
Meri yade bhi jala dena,
Mere khat ki tarah..

Mai teri jeet tha, ab haara huwa yaar hu mai
Apni najron me magar aaj bhi khuddar hu mai,
Aaj tak kuch bhi nahi manga hai maine tujhse,
Eak ahsaan kao itna to hakdaar hu mai
Dard ki umar ghata dena,
Meri yaden bhi jala dena,
Mere khat ki tarah..

Saturday 8 October 2011

Gham ka khazana tera bhi..

Gham ka khazana tera bhi hai mera bhi,
ye nazarana tera bhi hai mera bhi..

Apne gham ko geet bana kar gaa lena,
ye raag purana tera bhi hai mera bhi..

Tu mujhko or mai tujhko samjhaun kya,
Dil diwana tera bhi hai mera bhi..

Shahar me galiyon galiyon jiska charcha hai,
Wo afsana tera bhi hai mera bhi..

Maikhane ki baat na kar waiz mujhse,
Aana jana tera bhi hai mera bhi..

Hum jaise tanha logo ka...

Jo puchta hai koi surkh kyo hai aaj ankhe,
To ankh mal ke mai kahta hu raat so na saka,
Hazar chahu magar ye na kah sakunga kabhi,
Ke raat rone ki khwahish thi magar ro na saka..

Hum jaise tanha logo ka,
ab rona kya muskana kya,
Jab chahne wala koi nahi,
fir jeena kya mar jana kya..

Sow rang me jisko soncha tha,
sow roop me jisko chaha tha,
Wo jane ghazal to ruth gai,
Ab uska haal sunana kya...

Aawaj kisi ko de lekin,
Eak naam tumhara hontho par,
Har shakal se ubhro tum hi tum
Youn khud ko magar bahlana kya..

Raaton ka safar hai din ke liye,
Or dil me tamanna raaton ki,
Jab paanw me raste kho jaye,
Fir rukna kya ghar jana kya...

Nazar nazar si mila kar sharab pite hai..

Nazar nazar si mila kar sharab pite hai,
Hum unko paas bitha kar sharab pite hai,

Isi liyr to andhera hai maikade me bahot,
yaha gharo ko jala kar sharab pite hai..

Hume tumhare siwa kuch nazar nahi aata,
Tumhe nazar me saza kar sharab pite hai..

Unhi ke hisse me aati pyaas hi akshar,
Jo dusro ko pila kar sharab pite hai..

Ghazab kiya tere wade pe aitbaar kiya...

Ghazab kiya tere wade pe aitbaar kiya,
Tamaam raat qayamat ka intzaar kiya...

Hum aise mehe we nazara na the jo hosh aata,
Magar tumhare tagafful ne hoshiyaar kiya,

fashanaye shabe gam unko eak kahani thi,
Kuch aitbaar kiya kuch na aitbaar kiya,

Na pooch dil ki haqikat magar ye kahte hai,
Wo beqaraar rahe jisne beqaraar kiya..

Friday 7 October 2011

Mera dil bhi sowkh se todo..

Mera dil bhi sowkh se todo,
Eak tazurba or sahi,
Laakh khilowna tod chuke ho,
Eak khilowna or sahi,

Raat hai gam ki, aaj bujha do,
Jalta huwa har eak charag,
Dil me andhera ho hi chuka hai,
Ghar me andhera or sahi,

Khanzar le kar sochte kya ho,
Qatl-e-murad bhi kar dalo,
Daag hai sow daman pe tumhare,
Eak ezafa or sahi.

Dam hai nikalta eak aashiq ka,
Bhid hai aakar dekh to lo,
Laakh tamashe dekhe hoge,
Eak nazara or sahi......

Ajnabi shahar ke ajnabi raste..

Ajnabi shahar ke ajnabi raste,
Meri tanhai par muskurate rahe,
Mai bahot door tak yun hi chala raha,
Tum bahot der tak yaad aate rahe...

Kal kuch aisa hua mai bhot thak gay,
Isliye sun ke bhi ansuni kar gaya,
Kitni yaado ke bhatke huwe karwan,
Dil ke jakhmo ke dar khat kahtate rahe..

Jahar milta ra jahar pite rhe,
Roj marte rahe roj jeet rahe,
Jindagi bhi hume aajmati rahi,
Or hum bhi use aajmate rahe..

Sakht halat ke tej tufan me,
Ghir gaya tha humara junoon-e-wafa,
Hum charage tamanna jalate rahe,
Wo charage tamanna bujhate rahe..

Mere Dil Ki Duniya Mein Aa Kar To Dekho...

Mere Dil Ki Duniya Mein Aa Kar To Dekho
Tumhein Zindagi Ki Haqeeqat Milegi
Zara Apni Aankhen Utha Kar To Dekho
In Aankhon Mein Tumko Mohabbat Milegi

Tumhein Naaz Husn-O-Adaa Par Hai Lekin
Hamein Naaz Apni Wafa Par Bohat Hai
Milenge Hazaaron Zamaane Mein Tumko
Na Yeh Chahton Ki Inayaat Milegi

Badde Shauk Se Tum Inne Az.Zmaa
Nikalenge Matlib Yeh Phir Chhod Denge
Badalte Hain Chehre Har Ek Aanh Par Yeh
Yahaan Aise Logon Ki Qadraat ¿? Milegi

Ghawaara Nahi Hai Agar Meri Soorat
Duaa Hai Tumhein Main Nazar Hi Na Aoon
Chala Jaunga Main Teri Yaad Lekar
Kahaan Pyar Ki Tumko Daulat Milegi

Tumhein Apne Dil Mein Bassaya Hai Maine
Hataa Hai Yeh Meri Yahi Jurm Mera
Jo Chaho Mohabbat Ki Ab Tum Sazaa Do
Bohat Mujko Is Mein Bhi Rahat Milegi

Ghum-E-Zindaagi Ka Zeher Pi Ke Shayid
Wo Jiske Liye Aaj Hum Mar Rahe Hain
Baada Khauff Tha Meri Qurbat Se Jinko
Meri Maaut Pe Unko Shohrat Milegi....

Aakhri khat hai mera.....

Aakhri khat hai mera, jis pe hai naam tera…
Aaj ke baad koi,khat na likhunga tujhko!!

Bhul jaaunga tujhe, ye toh nahi kah sakta…..
Dil pe chalta hai kaha,zor muhobbat kar ke!!
Phir bhi is baat ki laeta hun kasam, ai humdum….
Main na tadpaaunga tujhko, kabhi nafrat kar ke!!

Bewafa tu hai kabhi, main na kahunga tujhko…
Aaj ke baad koi,khat na likhunga tujhko!!

Yaad beete huwe lamhon ki sataayegi agar…
Aap apne se kahi duur nikal jaaunga!!
Ittefaakan hi agar tujhse mulaakaat hui…
Ajnabi ban ke tere raah se tal jaaunga!!

Dil toh chahe ga par, aawaaz na dunga tujhko..
Aaj ke baad koi,khat na likhunga tujhko!!

Ye tera shahar ye galiyan, daro deewaar ye ghar….
Mere tute huwe khabon ki, yehi jannat hai!!
Kal ye sab chor ke jaana hai, bahut duur mujhe…
Jis jagah dhup hai, sehra hai meri kismat hai!!

Yaad mat karna mujhe, ab na milunga tujhko…
Aaj ke baad koi,khat na likhunga tujhko!!

Aakhri khat hai mera, jis pe hai naam tera…
Aaj ke baad koi,khat na likhunga tujhko!!

Raaton Mein Agar Na Ashq Bahaun To Kya Karun..

Raaton Mein Agar Na Ashq Bahaun To Kya Karun,
Yaron Mai Usko Bhool Na Paaun To Kya Karun,

Maine Suna Hai Unko Andhere Nahi Pasand,
Raahon Mein Ab Main Dil Na Jalaun To Kya Karun,

TuM Hi Kaho Chhod De Jab Zindagi Bhi Saath,
Phir Maut Ko Gale Na Lagaun To Kya Karun,

Socha Tha Ke Chhod Dun Unki Gali,
Lekin Kahin Qaraar Na Paaun To Kya Karun...