Pages

Wednesday 27 November 2013

Wo Kagaz Ki Kashti

Yeh Daulat Bhi Le Lo,
Yeh Shaurat Bhi Le Lo,
Bhale Cheen Lo Mujhse Se Meri Jawani,
Magar Mujhko Lauta Do
Bachpan Ka Sawan
Wo Kagaz Ki Kashti
Wo Baarish Ka Paani

Muhale Ki Sabse Purani Nishani,
Wo Budhea Jise Bache Kehte The Naani,
Wo Naani Ke Baaton Me Paarion Ka Dera,
Wo Chehre Ki Jhuriaon Me Sadion Ka pehra,
Bhulae Nahin Bhul Sakta Hai Koi,
Bhulae Nahin Bhool Sakta Hai Koi,
Wo Chotti Si Raaten.....
Wo Lambi Kahani

Kaadi Dhoop Me Apne Ghar Se Nikalna,
Wo Chidia Wo Bulbul Wo Titli Pakadna ,
Wo Guddia Ki Shaadi Pe Ladna Ghagadna,
Wo Jhuloon Se Girna Wo Gir Ke Sambhalna,
Wo Peetal Ke Chaalon Ke Pyare Se Tohfe,
Wo Tuuti Hue Chudion Ki Nishani
Wo Kagaz Ki Kashti Wo Baarish Ka Paani

Kabhi Ret Ke Oonche TilooN Pe Jana
Gharoonde Banana Bana’ke Mitana
Wo Masoom Chahat Ki Tasvir Apni
Wo KhwabooN KhilaooN Ki Jageer Apni
Na Duniya Ka Gam Tha Na RishtoN Ke Bandhan
Baree Khoobsurat Thi Wo Zindagani

Friday 22 November 2013

Raat Aankhon Main Dhali Palkon Pe Jugnu Aaye

raat aankhon main dhali palkon pe jugnu aaye
hum hawao ki tarah jaake use chu aaye

bas gayi hain mere ehsaas main yeh kaysi mehak
koi khusbu main lagau teri khusbu aaye

usne chukar mujhe pathhar se phir insaan kiya
muddato baad mere aankh main aansu aaye

maine din raat khuda se yeh dua maangi thi
koi aahat na ho dar par mere jab tu aayi

hum hawao ki tarah jaake use chu aaye
raat aankhon main dhali palkon pe jugnu aaye

Tuesday 19 November 2013

Tamanna fir machal jaaye agar tum milne aajao

Tamanna fir machal jaaye agar tum milne aajao
Ye mausam hi badal jaaye agar tum milne aajao

Nahin milte ho mujhse tum to sab humdard hain mere
Zamana mujhse jal jaaye agar tum milne aajao

Mujhe gham hai ke maine zindagi mein kuch nahin paaya
Ye gham dil se nikal jaaye agar tum milne aajao

Ye duniya bhar ke jhagde ghar ke kisse kaam ki baaten
Bala har ek Tal jaaye agar tum milne aajao

Friday 30 August 2013

Aaj Hum Bichde Hain To Kitne Rangeele Ho Gaye

Aaj Hum Bichde Hain To Kitne Rangeele Ho Gaye
Meri aankhein Surkh Tere Haath Peele Ho Gaye

Kabki Pathar Ho Chuki thi Muntazir Aankhein Magar
Chuke Jab Dekha to mere haath Geele Ho Gaye

Jaane Kya Ehsaas Saze Ehsaas Husn Ke Taaron me Hai
Jinko Chute hi Mere Nagme Raseele Ho Gaye

Ab koi umeed hai Saheed na koi Aarzoo
Aasre Toote To Jeene ke Wasile ho Gaye

Aaj Hum Bichde Hain To Kitne Rangeele Ho Gaye
Meri aankhein Surkh Tere Haath Peele Ho Gaye
Aaj Hum Bichde Hain To Kitne Rangeele Ho Gaye..

Wednesday 28 August 2013

Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai

Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai

kheech lena wo mera parde ka kona daffatan
or dupatte se tera wo muh chupana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai

Dopahar ki dhoop me mere bulane ke liye
wo tera kothe pe nange paaw aana yad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai

Bahot khubsurat hai aankhein tumhaari

Bahot khubsurat hai aankhein tumhaari
Agar ho inaayat ai jaane mohabbat
Bana dijiye inako kismat hamaari
Bahot khubsurat hai aankhein tumhaari

Jo sabse juda hai, woh andaaj ho tum
Chhupa tha jo dil mein wohi raaj ho tum
Tumhaari najaakat bani jabse chaahat
Sukun ban gayi hai, har ik bekaraari

Na the jab talak tum hamaari najar mein
Na tha chaand shab mein na suraj seher mein
Tumhaari ijaajat tumhaari hukumat
Yeh saara nagar hai yeh dharati hai saari

Bahot khubsurat hai aankhein tumhaari
Agar ho inaayat ai jaane mohabbat
Bana dijiye inako kismat hamaari
Bahot khubsurat hai aankhein tumhaari

Badi Nazuk Hai Yeh Manzil

Badi nazuk hai ye manzil
Mohobbat ka safar hai
Dhadak aahista se aye dil
Mohobbat ka safar hai

Koi sun le na ye kissa
Bahut dar lagta hai
Magar dar bhi se kya hasil
Mohobbat ka safar hai

Batana bhi nahi aasaan
Chhupa na bhi kathin hai
Khudaya kis kadar muskil
Mohobbat ka safar hai

Ujale dil ke fele he
Chale aaona janam
Bahut hi pyar ke kabil
Mohobbat ka safar hai

Badi nazuk hai ye manzil
Mohobbat ka safar hai

Aap Jin Ke Kareeb Hote Hain

Aap jin ke kareeb hote hain
Wo bade khushanaseeb hote hain

Jab tabiyat kisi pe aati hain
Maut ke din karib hote hain
Wo bade khushanaseeb hote hain
Aap jin ke kareeb hote hain

Mujhase milana phir aapka milna
Aap kisko naseeb hote hain
Wo bade khushanaseeb hote hain
Aap jin ke kareeb hote hain

zulm seh kar jo uff nahi karte
Unke dil bhi ajeeb hote hain
Wo bade khushanaseeb hote hain
Aap jin ke kareeb hote hain

Thursday 22 August 2013

Ek Purana Mausam Lauta

Ek puraana mausam lauta, Yaad bhari purvayi bhi
Aisa to kam hi hota hai, woh bhi ho tanhayi bhi
Ek puraana mausam lauta, Yaad bhari purvayi bhi

Yaadon ki bochharon se jab palkein bheegne lagti hai
Kithni sounbhi lagti hai tab, Maazi ki rushvayi bhi
Ek puraana mausam lauta, Yaad bhari purvayi bhi

Do do shaklein dikhti hai is behke se aaeene mein
Mere saath chala aaya hai, Aapka ek soudayi bhi
Aisa tho kam hi hotha hay wo bhi ho thanhayi bhi

Khamoshi ka hasil bhi ik lambi si khamoshi hay
Unki bath suni bhi hum ne apni bath sunayi bhi

Aisa tho kam hi hotha hay wo bhi ho thanhayi bhi

Wednesday 21 August 2013

din kuchh aise gujaarata hai koyi

din kuchh aise gujaarata hai koyi
jaise ehsaan utaarata hai koyi

aaina dekhkar tassali huyi
hamko is ghar mein jaanata hai koyi

pak gaya hai shehar pe phal shaayad
phir se patthar uchhaalata hai koyi
jaise ehsaan utaarata hai koyi
din kuchh aise gujaarata hai koyi

tumhaare gum ki dalin uthaakar
jabaan pe rah li hai maine dekho maine
ye katra katra pighal rahin hai
main katra katrahi ji raha hoon

derse gunjate hai sannate
jaise humko pukaarata hai koyi
din kuchh aise gujaarata hai koyi
jaise ehsaan utaarata hai koyi

Saturday 17 August 2013

Har mod nyi eak uljhan hai



Ye chirag benazar hai ye sitara bezuban hai
Abhi tujhase milta julata koi dusara kahan hai

Unhin raston ne jin par kabhi tum the sath mere
Mujhe rok rok pucha tera hamasafar kahan hai

Har mod nyi eak uljhan hai
Kadmo ko sambhalna muskil hai
Tu saath nahi to dhoop to kya
Saaye me bhi chalna muskil hai

Yaarane safar hai tez kadam
Ay kashmakshe sil kya hoga
Rukta hu to bichada jata hu
Chalta hu to chalna muskil hai

Ab humpe khula ye raj-e-chaman
Uljha kre baharo me daman
Kaanto se nikalna aasan tha
Phoolon se nikalna muskil hai

Ye mera mazake kis ne abhi
Le aaya kis manzil par
Bahku to hasega maikhana
Sambh to sambhalna muskil hai

Naakam ye kismat kaisa hai
Kya chiz shikasta paayi hai
Do gam pe manzil hai lekin
Do gam bhi chakna muskil hai

Likhte rahe khune dil se jise
Taaide nigaher dost me hum
Iqbaal ab is afsane ka
Unwaan badalna muskil hai

Thursday 16 May 2013

Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah

Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah,
Sirf Ek Baar Mulakaat Ka Mauka De De..

Meri Manzil Hai Kahan Mera Thikana Hai Kaha,
Subah Tak Tujh Se Bichhad kar Mujhe Jaana Hai Kaha..
Sochne Ke Liye Ek Raat Ka Mauka De De..

Apani Aankho Mein Chhupa Rakkhe Hai Juganu Meine,
Apani Palko Pe Saja Rakkhe Hain Aansu Meine..
Meri Aankho Ko Bhi Barsaat Ka Mauka De De..

Aaj Ki Raat Mera Dard-e-Muhaabat Sun Le,
Kap Kapate Huae Hotho Ki Shikaayat Sun Le..
Aaj Izhaar-e-Khayaalat Ka mauka De De..

Bhulana Tha Toh Ye Iqraar kiyaa hi Kyuu Tha,
Bewafa Tune mujhe Pyar Kiya Hi Kyun tha..
Sirf Do-Chaar Sawalat Ka Mauka De De..

Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah,
Sirf Ek Baar Mulakaat Ka Mauka De De..

Wednesday 15 May 2013

Deewaron se milkar rona acha lagta hai


Deewaron se milkar rona acha lagta hai
Hum bhi pagal ho jayenge, aisa lagta hai

Deewaron se milkar rona acha lagta hai
Hum bhi pagal ho jayenge, aisa lagta hai

Duniya bhar ki yaadein humse milne ati hain
Shaam dhale is soone ghar mein mela lagta hai
Hum bhi pagal ho jayenge, aisa lagta hai

Kitne dino ke pyase honge yaaron socho to
Shabnam ka katra bhi jinko dariya lagta hai
Hum bhi pagal ho jayenge, aisa lagta hai

Kisko kaise pathar maru kaun paraya hai
Sheesh-mahal mein ek ek chehra apna lagta hai
Hum bhi pagal ho jayenge, aisa lagta hai

Deewaron se milkar rona achcha lagta hai
Hum bhi pagal ho jayenge, aisa lagta hai

Aaj hum bichhade hain to


Aaj hum bichhade hain to,
kitne rangeele ho gaye..

Meri aankhen sukhi,
tere haath peele ho gaye..

Kab ki patthar ho chuki thee muntazir aankhe magar,
Chhooke dekha to mere hath geele ho gaye..

Jane kya ehsas saaz-e-husn taron mein hain,
Jinko chhoote hi mere nagmen raseele ho gaye..

Ab koi ummeed hai sahid, na koi aarzoo,
Aasre toote to jeene ke waseele ho gaye..