Pages

Thursday 16 May 2013

Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah

Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah,
Sirf Ek Baar Mulakaat Ka Mauka De De..

Meri Manzil Hai Kahan Mera Thikana Hai Kaha,
Subah Tak Tujh Se Bichhad kar Mujhe Jaana Hai Kaha..
Sochne Ke Liye Ek Raat Ka Mauka De De..

Apani Aankho Mein Chhupa Rakkhe Hai Juganu Meine,
Apani Palko Pe Saja Rakkhe Hain Aansu Meine..
Meri Aankho Ko Bhi Barsaat Ka Mauka De De..

Aaj Ki Raat Mera Dard-e-Muhaabat Sun Le,
Kap Kapate Huae Hotho Ki Shikaayat Sun Le..
Aaj Izhaar-e-Khayaalat Ka mauka De De..

Bhulana Tha Toh Ye Iqraar kiyaa hi Kyuu Tha,
Bewafa Tune mujhe Pyar Kiya Hi Kyun tha..
Sirf Do-Chaar Sawalat Ka Mauka De De..

Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah,
Sirf Ek Baar Mulakaat Ka Mauka De De..

Wednesday 15 May 2013

Deewaron se milkar rona acha lagta hai


Deewaron se milkar rona acha lagta hai
Hum bhi pagal ho jayenge, aisa lagta hai

Deewaron se milkar rona acha lagta hai
Hum bhi pagal ho jayenge, aisa lagta hai

Duniya bhar ki yaadein humse milne ati hain
Shaam dhale is soone ghar mein mela lagta hai
Hum bhi pagal ho jayenge, aisa lagta hai

Kitne dino ke pyase honge yaaron socho to
Shabnam ka katra bhi jinko dariya lagta hai
Hum bhi pagal ho jayenge, aisa lagta hai

Kisko kaise pathar maru kaun paraya hai
Sheesh-mahal mein ek ek chehra apna lagta hai
Hum bhi pagal ho jayenge, aisa lagta hai

Deewaron se milkar rona achcha lagta hai
Hum bhi pagal ho jayenge, aisa lagta hai

Aaj hum bichhade hain to


Aaj hum bichhade hain to,
kitne rangeele ho gaye..

Meri aankhen sukhi,
tere haath peele ho gaye..

Kab ki patthar ho chuki thee muntazir aankhe magar,
Chhooke dekha to mere hath geele ho gaye..

Jane kya ehsas saaz-e-husn taron mein hain,
Jinko chhoote hi mere nagmen raseele ho gaye..

Ab koi ummeed hai sahid, na koi aarzoo,
Aasre toote to jeene ke waseele ho gaye..