Pages

Saturday 15 October 2011

Kaise Kaise Haadse Sahte Rahen..

Kaise Kaise Haadse Sahte Rahen,
Fir Bhi Hum Jite Rahen Haste Rahen..

Uski Aa Jaane Ni Ummiden Liye,
Raasta Mud-Mud Ke Hum Takte Rahen..

Waqt To Gujra Magar Kuch Is Tarah,
Hum Chirago Ki Tarah Jalte Rahen..

Kitne Chehre The Hamare Aaspas,
Tum Hi Tum Dil Me Magar Basten Rahen..

Kaise Kaise Haadse Sahte Rahen..

Ankho me jal raha hai kyu, Bhujta nahi dhua..

Ankho me jal raha hai kyu Bujhta nahi dhua,
Uthtaa to hai ghata sa barasta nahi dhua..

Chulhe nahi jalaye ya basti he jal gayi,
Kuch roz ho gaye hai ab Uthtaa nahi dhua..

Ankho ke pochne se laga anch ka pata,
Yuu cehra pher lene se chupta nahi dhua..

Ankho se ansu ke marasim purane hai,
Mehman yeh ghar ma aaye to Chubhta nahi dhua..

Ankho me jal raha hai kyu, Bhujta nahi dhua..

Wednesday 12 October 2011

Ye bhi hai koi zindagi..

Ye bhi hai koi zindagi,
Pi ke sharab ro liye,
Dard wahi dawa wahi,
Pi ke sharab ro liye..

Dil ke gamo ka janamdin,
Akhshar manaya isi tarah,
Hotho pe aayi jab hasi,
Pi ke sharab ro liye..

Duniya ki har ziyadati,
Ki hai kubul har ghadi,
Hogi humi me kuch kami,
Pi ke sharab ro liye..

Mahfil me youn to bin piye,
Roye hai hum hazaar baar,
Charche hai ab gali gali,
Pi ke sharab ro liye..

Apno ki badsulukiya,
Has has ke pi gaye hai hum,
Ye hai humari saadgi,
Ye bhi hai koi zindagi..

Parakhna mat parakhne main koi apna nahi rehta..

Parakhna mat parakhne main koi apna nahi rehta,
Kisi bhi aaine mein der tak chehra nahi rehta..

Bade logoon se milne mein hamesha faasala rakhna,
Jahan dariya sumandar se mila, darya nahi rehta..

Tumhara shehar tu bilkul naye andaaz wala hai,
Hamare shehar mein bhi ab koi ham sa nahi rehta..

Mujhabbat ek khushboo hai hamesha saath chalti hai,
Koi insaan tanhai mein bhi tanha nahi rehta..

Kabhi kisi ko mukammal jahan nahi milta..

Kabhi kisi ko mukammal jahan nahi milta,
Kahi jami to kahi aasman nahi milta..

Jise bhi dekhiye wo apne aap me gum hai,
Zuba mili hai magar hum-zuban nahi milta..

Bujha saka hai bhala kon waqt ke shole,
Ye aisi aag hai jisme dhuwa nahi milta..

Tere jahaan me aisa nahi ke pyaar na ho,
Jaha ummid ho iski waha nahi milta..

Humne Kaati hai teri yaad me raaten aksar..

Humne Kaati hai teri yaad me raaten aksar,
Dil se gujri hai sitaro ki baraten aksar..

Or to kon hai jo mujhko tasalli deta,
Haath rakh deti hai dil par teri baten aksar..

Hum se eak baar bhi na jeeta hai na jeetega koi,
Wo to hum jaan ke kha lete hai maten aksar..

Unso poocho chehre bhi padhe hai tumne,
Jo kitabon ki kiya karte hai baaten aksar..

Aapke dil ne hume aawaj di hum aagaye..

Aapke dil ne hume aawaj di hum aagaye,
Humko le aayi mohabbat aapki hum aagye..

Apne aane ka sabab hum kya bataye aapko,
Baithe baithe yaad aayi aapki hum aagye..

Hum hai dil wale bhala humpar kisi ka jor kya,
Jayege apni khushi, apni khushi hum aagye..

Kahiye kaya hai charago ki jarurat aapko,
Leke aakhon me wafa ki roshni hum aagye..

Tera chehra hai aaine jaisa...

Tera chehra hai aaine jaisa,
Kyo na dekhu mai dekhne jaisa..

Tum kaho to mai pooch lu tumse,
Hai sawaal eak puch ne jaisa..

Dost mil jayege kai lekin,
Na milega koi mere jaisa..

Tum achanak mile the jab pahle,
Pal nahi hai wo bhoolne jaisa..

Tuesday 11 October 2011

Tere aane ki jab khabar mahke..

Tere aane ki jab khabar mahke,
Tri khushboo se sara ghar mahke..

Shaam mahke tere tasavvur se,
Shaam ke baad fir shaher mahke..

Raat bhar sochta raha tujhko,
Zehn-o-dil mere raat bhar mahke..

Yaad aaye to dil murrawar ho,
Deed ho jaye to nazar mahke..

Wo ghadi do ghadi jaha baithe,
Wo zami mahke wo sazar mahke..

By: Jagjit Singh

Shaam se aankh me nami si hai..

Shaam se aankh me nami si hai,
aaj fir aapki kami si hai..

Dafn kar do hume ke sansh bhi le,
Nabz kuch der se thami si hai..

Waqt rahta nahi kahi tik kar,
Iski aadat bhi aadmi si hai..

koi rishta nahi raha fir bhi,
Eak tasleem lazmi si hai..

Kahin kahin se har chehra..

Kahin kahin se har chehra,
Tum jaisa lagta hai,
Tumko bhool na paayenge hum,
Aisa lagta hai..

Aisa bhi ek rang hai,
Jo karta hai baatein bhi,
Jo bhi isko pehn le,
Voh apna sa lagta hai..

Aur to sab kuch theek hai lekin,
Kabhi kabhi yunhi,
chalta phirta shaher,
Achaanak tanha lagta hai..

Ab bhi yun milte hain,
humse phool chameli se,
Jaise inse apna koi,
Rishta lagta hai..

Apni mareji se kaha apne safar ke hum hai..

Apni mareji se kaha apne safar ke hum hai,
Rukh hawao ka jidhar ka hai udhar ke hum hai..

Pahle har cheej thi apni magar ab lagta hai,
Apnehi ghar me kisi dusre ghar ke hum hai..

Waqt ke ssath hai mitti ka safar sadiyo se,
Kisko maloom kaha ke hai kidhar ke hum hai..

Chalte rahte hai ke chalna hai musafir ka naseeb,
Sochte rahte hai kis raah gujar ke hum hai..

Badi hasin raat thi..

Charaag aaftab gum,
Badi hasin raat thi,
Shabaab ki naqab gum,
Badi hasin raat thi..

Mujhe pila rahe the woh,
Ke khud hi shamma bujh gayi,
Gilaas gum, sharaab gum,
Badi hasin raat thi..

Likha tha jis kitaab mein,
Ke ishq to haraam hai,
Huyee wohi kitaab gum,
Badi hasin raat thi..

Labon se lab jo mil gaye,
Labon se lab hi sil gaye,
Sawaal gum, jawaab gum,
Badi hasin raat thi..

Tumne badle humse gin gin ke liye..

Tumne badle humse gin gin ke liye,
Humne kya chaha tha is din ke liye..

Wasl ka din or kitna mukhtsar,
Din gine jate the is din ke liye..

Wo nahi sunte humari kya kare,
Maangte hai hum duwa jinke liye..

Chahne walo se agar matlab nahi,
Aap phir paida huwe kinke liye..

Baagwan kaliyan halke rang ki,
Bhejni hai eak kamsin ke liye..

By: Jagjit Singh

Zakhmo ko hawa doge, Meri yaad aayegi..

Zakhmo ko hawa doge, Meri yaad aayegi,
Kisi ko bhi daga doge meri yaad aayegi,

Khicho ge ret par meri tasweer baar baar,
Fir usko mitaoge, meri yaad aayegi,

Dariya ke bahte pani me parchai dekh kar,
Zulfo ko sawaroge, meri yaad aayegi,

Bwchain ho ke yadon se meri kabhi kabhi,
Chahoge na bhuloge, meri yaad aayegi.

By: Anuradha Paudwal & Chandan Daas

Rote Hai Teri Yaad Me..

Rote hai teri yaad me,
Iske siwa hum kya kare,
Kismat me hona tha juda,
Tujhse gila hum kya kare..

Karke duwa manga tujhe,
Pakar magar khoya tujhe,
Mange khuda se or kya,
Koi duwa hum kya kare..

Jab tak teri tasweer thi,
Pyara tha dil ka aayina,
Jab tu nahi to dilruba,
Ye aaina hum ky kare..

Patthar nahi insan hai hum,
Kaise sahege ye sitam,
Dil todne wale ye dil,
Tuta huwa hum kya kare..

by: Chandan Daas

Monday 10 October 2011

Kisi Ki Gali Me Dabe Paanw Jana..

Kisi ki gali me dabe paanw jana,
Sikhaya kisi ne ya khud tumne sikha,
Andhere me julfo ko chunri bana,
Sikhaya kisi ne ya khud tumne sikha..

Main bhula nahi hu, jawani ki aahat,
Teri showkh aankho ki har muskurahat,
Mera haath thame labo ko dabana,
Sikhaya kisi ne ya khud tumne sikha..

Main bhula nahi hu, mohabbat ki kasme,
Na dil tere bas me, na dil mere bas me,
Mera aage badhna tera hichkichana,
Sikhaya kisi ne ya khud tumne sikha..

Fir eak din tujhi ko badalte bhi dekha,
Mohabbat ke suraj ko dhalte bhi dekha,
Kisi eak bahane mujhe chod jana,
Sikhaya kisi ne ya khud tumne sikha..

Mai har jakhm-e-dil ko to sita rahuga,
Kai baar mar mar ke jeeta rhuga,
Meri aarju ko khilowna banana,
Sikhaya kisi ne ya khud tumne sikha..

Mujhko ek aur saza dena, mere khet ki tarah..

Mujhko ek aur saza dena, mere khet ki tarah
Meri yaaden bhi jala dena, mere khat ki tarah

Sochta tha ke mere khat ka jawaab aayega,
Meri murjhayi umango pe shawab aayega,
Fir sajegi wahi pahle ki tarah ki mahfil,
Fir tere haath se eak jaam-e-sharaab aayega,
Mere sab khwaab mita dena.
Meri yaden bhi jala dena,
Mere khat ki tarah..

Tumne kitne bhi chubhoye hai labo ke lashkar,
Dard sahta hi raha haath na rakha dil par,
Ab bhi hai waqt se takrane ki himmat mujhme,
Kaat sakta hu mai shishe se hazaro pattar
Dur rah kar hi duwa dena,
Meri yade bhi jala dena,
Mere khat ki tarah..

Mai teri jeet tha, ab haara huwa yaar hu mai
Apni najron me magar aaj bhi khuddar hu mai,
Aaj tak kuch bhi nahi manga hai maine tujhse,
Eak ahsaan kao itna to hakdaar hu mai
Dard ki umar ghata dena,
Meri yaden bhi jala dena,
Mere khat ki tarah..