Pages

Wednesday 12 October 2011

Parakhna mat parakhne main koi apna nahi rehta..

Parakhna mat parakhne main koi apna nahi rehta,
Kisi bhi aaine mein der tak chehra nahi rehta..

Bade logoon se milne mein hamesha faasala rakhna,
Jahan dariya sumandar se mila, darya nahi rehta..

Tumhara shehar tu bilkul naye andaaz wala hai,
Hamare shehar mein bhi ab koi ham sa nahi rehta..

Mujhabbat ek khushboo hai hamesha saath chalti hai,
Koi insaan tanhai mein bhi tanha nahi rehta..

3 comments: