Pages

Saturday 8 October 2011

Gham ka khazana tera bhi..

Gham ka khazana tera bhi hai mera bhi,
ye nazarana tera bhi hai mera bhi..

Apne gham ko geet bana kar gaa lena,
ye raag purana tera bhi hai mera bhi..

Tu mujhko or mai tujhko samjhaun kya,
Dil diwana tera bhi hai mera bhi..

Shahar me galiyon galiyon jiska charcha hai,
Wo afsana tera bhi hai mera bhi..

Maikhane ki baat na kar waiz mujhse,
Aana jana tera bhi hai mera bhi..

No comments:

Post a Comment