Pages

Saturday 8 October 2011

Hum jaise tanha logo ka...

Jo puchta hai koi surkh kyo hai aaj ankhe,
To ankh mal ke mai kahta hu raat so na saka,
Hazar chahu magar ye na kah sakunga kabhi,
Ke raat rone ki khwahish thi magar ro na saka..

Hum jaise tanha logo ka,
ab rona kya muskana kya,
Jab chahne wala koi nahi,
fir jeena kya mar jana kya..

Sow rang me jisko soncha tha,
sow roop me jisko chaha tha,
Wo jane ghazal to ruth gai,
Ab uska haal sunana kya...

Aawaj kisi ko de lekin,
Eak naam tumhara hontho par,
Har shakal se ubhro tum hi tum
Youn khud ko magar bahlana kya..

Raaton ka safar hai din ke liye,
Or dil me tamanna raaton ki,
Jab paanw me raste kho jaye,
Fir rukna kya ghar jana kya...

1 comment: